Showing posts with label urdu. Show all posts
Showing posts with label urdu. Show all posts

May 24, 2009

Yehi Bohat Hai.....

Mohabatoun main jo gham mila hay yehi bohat hai,
Wo rotay rotay yeh kah raha hai yehi bohat hai...

Agar woh shaks ab mera nahi hai to gham nahi,
Guzray dinoun main mera raha hai yehi bohat hai...

Koi zaroori nahi kisi ko main yaad aaoun,
Koi mujhey yaad aa raha hai yehi bohat hai...

Agarchay mayray khilaaf ghalat kaha hai laykin,
Yeh faisala is ney khud kiya hai yehi bohat hai...

Main apnay hissay ka hanss loun meri kahan yeh kismat,
Bas apnay hissay ka roh liya hai yehi bohat hai...

'_'

March 4, 2009

Reason for missing u

I can survive and still live though you are gone, doesn't really matter, my heart won't shatter, what if i am alone. Let the flowers bloom let the birds chirp... I won't drown in gloom. Let the wind whisper sweet nothings, let the cloud flirt the fragrance, the lilting melody, the nightly croon. Nothing can make me miss you, nothing can sway,

but....

It rained today.......



-----------------------------------------------------------------------------


read it somehwere or somebody told me... yaad nahi .... uper sey it rained today toh aiween post ker dia .... and yeah yeah i know i do miss you whether it rains or not ... but this is true when ever it rains it brings a pain along.... it hurts more then it usually does... maybe coz we have lot of memories with it ...pata nahi yaar... but .... hmmm kuch nahi ... khush raho... and i do hope and pray that you are fine.... and obviously I STILL LOVE U !!

February 20, 2009

Khuwahish !


Khuwahish!

Ye meri beti ka kamra hai jise maray hoay teen din ho chukay. Aj uska soyam tha. Meri beti sab larkion se alag honay ki dawedar thi jab k yehi baat mjhe uski sab se aam lagti thi. Ye naheen tha ke wo meri ikloti olaaad thi na he ladli beti bas thori si khudsar, ziddi or mun-phutt si lerki thi (is baat par kisi ko shak nahin tha sewaye uskay) ussay ab lagnay laga tha ke jaise wo bilkul akaili hogai hai uski maa to kia main bhi ussay pyar naheen karti . Wo jab kabhi ghussay main ati yehi kehti ;
main mar bhi jaon gi to kisi ko kon sa farq parega main kon sa kisi ka beta hon! Ziyada se ziyada do roz sog manain ge sab.
main jab uski ye jazbati batain sunta hameesha hansta! Or us waqt ussay duniya ke gool ghumnay se lekar meray hansnay tak par ayteraz hota (main uskay jama kiye novels dekh raha tha. Usay ye shoq maa bap se virasat main mila tha). Usay duniya ko khud se taskheer karna acha lagta tha. Uska kamra hameesha bikhra rehta (main uskay takiye [pillow] par haath rakha) magar marne se pehlay wo isse itna saaf kar gai thi ke lag raha tha jaise wo abhi yaheen kisi konay se nikal kar ayegi mujhe betha daikhe gi hairan hokar or kahegi 'papa ap yahan kia kar rahain hain?'
Ye kamra meri beti ka sab se pasandeedah gosha [corner] tha ghar ka. Main apni beti k saray shikway dor karna chahta tha, ussay batana chahta tha ke main usse utna he pyar karta hon jitna apne baqi bachon se. Han ussay sab se ziada dantta tha magar isliye kaheen wo bigar na jaye. Tabhi meri biwi meray pass ayi .

"ye apkay liye aya tha" usne ik packet meri taraf barahaya, main ne oper uske chehray par nazar ki to wo bhi nam-alood tha shayed ussay bhi apne beti ki yad arahi hogi.

"kia hai ismain?" main ne usay pocha , usnay lailmi ka izhar kia or janay lagi. Main ne ussay darwaza band karkay janay ko kaha.

Packet khola to usmain ik card or kuch cheezain theen jin main ik leather ka wallet, ik kurta shalwar or ik parcha shamil tha. Main ne card uthaya (father's day ka card hoga) main ne sochtay sochtay card khola magar kholnay par pata chala ke wo to valentines day especial tha ( main hairan hoa bhala valentines day wish karne wala mjhe kon hosakta hai? ) card par meray naam ke ilawa chand satrain likhi hoi theen.

Although I hate Valentine's Day but this year,
I wished someone to be my valentine !
Who else it could be but you.
So will you be my valentine Dad?

Main ne ansoon ko saaf kiya aur nazam wala parcha uthayaparhna shuru kiya to ehsaas hoa ke ye to shayed wohi wali nazm hai jiska mazak meray betay mazak ura rahay thay, usne yeh poem kisi conest main bhi bheji thi shayed isi baat par mazak ura rahay thay main ne nazam ko ik bar phir ghor se parhna shuru kia;

Come With Me Before I Leave!

Death is on its way,
But before leaving you behind,
All alone on your own,
I've a feeling,
I should return once to you,
All the precious moments,
That you really deserve,
I want to hug you,
Kiss you and embrace you,
Like never before,
So that whenever you see yourself,
in a mirror or in someone's eyes,
It reminds you the love of mine,
The feel of mine,
As i want to live in you,
Yes! I knw i am in you,
But after me i know,
Your life will not stop,
Even i dont want so,
As all i want is just to,
LOVE YOU!
PROTECT YOU
&
INSPIRE YOU!

Main ne nazzam ke akhir main dekha to mujhe mukhtib karke meri beti ne do lines likheen theen;

Dad! ye nazam main ne apke liye likhi thi koi
man he naheen raha jisne
bhi parhi usne kaha ye koi dad k liye naheen
likh sakta main apki boht achi beti
naheen hon sirf achi bhi naheen hon magar
dad mujhe maaf kardijiyega or ye cheezain rakh
lejiye ga! kash main apko ye khud deti or app ko
agar cheezain pasand ati to app bhai ki tarhan
mujhe bhi galay lagatay! hai na dad!

Main ne apne apko apne bazon main bhench lia meri beti ko meray galay lagnay ka kitna shoq tha. Kash Papa ki jan! tum yahan hoteen to papa tumhain galay lagatay ik bar phir batatay ke wo tum se kitna pyar karte hain. Kash! Tum ye pehlay papa ko parhwateen to yun khali khuwahish liye to na jateen! Kash PAPA tumhari ye khuwahish puri kardetay! Kash Tum aj zinda hoteen!

-------------------------------------------------------------------------------------------------
This is just another piece of mine. Hope you will feel and enjoy it while reading, as i enjoyed and i feeled while writting it! All thanks to my dad as while i wrote this he was away and his apartness made me write this! Readers please comment and suggest!
Thank-you!

- illusiOn!

February 18, 2009

Aghosh!


AGHOSH!

Sanata chahay raat ka ho ya zaat ka... Dil dehlanay wala he hota hai hai. Magar kabhi kabhi ye sanata khud par tari karna parta hai. Kabhi khud se bachany ke liye, to kabhi khud ko bachnay ke liye. Meray ghar main bhi kabhi bhi kabhi qalqariyan gonja karti theen, khair gonjti to abhi bhi hongi Khuda salamat rakhay meri nasal ko. MASHALLAH baray walay ke han teen(3) bachay thay ( Hain to ab bhi magar shayed sirf teen na hon mili naheen hon na arsay se..) Ussay chotay walay ke chaar(4) bachay thay.Or sab se chotay walay ki to khair se shaadi ko he abhi ik saal hoa main khud karke ayi thi (chand si dulhan hai uski ). Meri nand he ki to lerki hai.Betiyan bhi Khuda rakhay do (2) hain wo bhi abaad hain ghar main apne, main bhi to apne ghar main abaad hon (Old home, hum jaise budhon ke liye he to hotay hain na!) Dostain to yahan bohat hain meri magar.. Waise to bachay bhi mil jatay hain (Jinke milnay walay naheen atay unhain rakhtay naheen hain na ye) Aleeshaan rehaish hai ye bhi meri magar dil main uthti hai na khuwahishain kabhi kabhi (Ye nadan! is umer main bhi chain se naheen bethta ruswai ka sabab har umr main rehta hai) Apni agay anay wali nasal se pot'tay pot'tiyan se milnay ka nawasay nawasion se milnay ka, unko phaltay pholtay dekhnay ka. Nawasay, nawasion ko to arsa hogaya dekhay hoay, betiyan masroof bhi to rehti hain, waqt he naheen milta hoga. Ik ki to hai bhi bhari puri susral or ik ki saas he jalad hai anay he naheen deti hogi. Ab khana kha lon to nahon gi aj maheenay ka pehla hafta hai mera bara beta ayega!
------------------------------------------------------------------
"Suno! mujhe aj shaam ko ammi ke han jana hai! jaldi ajana" Ye awaz meri bewi ki thi. Aj maheenay ka pehla hafta tha mujhe ammi ke paas jana tha.
"Aj to mujhe ammi ke paas jana hai paise jama karanay hain" Main ne saaf jawab dia is lanay lejanay ki nokri se.
"Oho! paise he to jama karanay hain aglay weekend kara dena aj please le chalo na" Usnay khushamdana lehja ikhtiyar kia.
"WO mera intezar karainngi! aur paise na jama hoay to tumhain pata hai kia hoga phone pe phone ayain ge.. azaab hojayega jeena" Main ne jhunjla ka kaha.
"To itnay mehngay main dalnay ki zarorat kia thi? Aur kia saray jahan ka theka apne le rakha hai kia? Tumharay chotay bhaiyon ke aise bhi b uray halat naheen .. Acha khair kara ao jama ye na ho phir hum par lad jain.. Farigh karain warna phir ik azab se guzrna parega" Farmaan jari hogaya! mera phone baja main uski baat suni unsuni karte hoay phone sunnay laga.
"Suno! tayyar hojao main dost ki taraf jaonga. Kuch garbar hogai hai aglay haftay jama kara donga, ao! tumahin rastay main utar don" Main ne qadam gari ki taraf bhara diye.
--------------------------------------------------------------------
"Bibi! chalo tumhari choti hogai" Main ibadat kar rai thi jab maasi ne mujhe bataya. (Dekha! meri duain rang le ayeen mera beta agaya) main ne ussay kuch kahay baghair saman badhna shuru kardia. Bahar nikli to wardon nazar ayi main ne ussay apne betay ka poocha to usnay talkhi se kaha;
"Kon sa beta? Oo bibi tumhain yahan se nikal rahain hain maheenay ka akhir hogaya tumharay betay ne paise naheen jama kar waye phone karo to uthata naheen hai. Jao tumhari choti hogai hai"Meray pairon talay zameen nikal gai.
" mm mm magar..."
"Aray jao! Agar magar kuch naheen tumhari jaga nai madam ayi hain. Itna sara to unkay betay ne rupiya dia hai. Tum jao bibia" wo to kehtay kehtay agay chalti bani magar meri duniya andhair kar gai.
Bahar nikli to ik bilkul mukhtalif duniya ne mera istakbaal kia. Shor sharabay se bhari duniya masroof duniya, bhagtay dortay shehri. Ye shehr itna badal gaya tha ke pehchan mumkin na thi main dikh kar, sambhal kar road par karna chah rahi thi magar ankhon ko dhundh ne lapait lia aur phir .... Sanata chah gaya. Irdgird gariyon ka shor sunai de raha tha magar meray dil main khamoshi se bhara itmenan utar raha tha. Dhiray dhiray mjhe aram mil raha tha aisa lag raha tha jaise main azaad ho raheen hon. Meri roh jism ki qain se azaad ho rahi thi aur bhala azadi kisse buri lagti hai !
--------------------------------------------------------------------
Main taizi se ghar ja raha tha ke mera mobile baja. Ik hath se stairing pakray main ne mobile kan se lagaya.
"han han! Aaraha hon! Bas traffic main phans gaya tha" main ne phone uthatay he kaha.
"Jaldi ajain meri bachi kab se intezar kar rahi hai. Ammi ke ghar se bhi sab agaye hain or apke gharwalay bhi" meri biwi bhi radio se kam naheen thi.
"han! Yar aaraha hon" main ne samnay kharay majmay ko dikha shayed koi hadsa hoa tha ( ik to log bhi na dikh ke naheen martay ) main ne gari mushkilon se wahan se nikali. Mjhe jaldi ghar pohanchna tha meri bachi ki salgirah jo thi.
---------------------------------------------------------------------
"bhayi ajain cake kat lain" main ne sab ko bulaya.
"han ji main sab ko larahi hon itnay ap zara camera to le ain" meri biwi ne hidayat jari keen.
Tabhi ghanti baji. Mera bhai gate kholnay gaya.
"Bhai ! Ama.." wo waheen se chikha. Meri jaan nikal gai. Ammi yahan agai meri susral... Isse agay main kuch sochta ke mera bhai phir chikha.
" bhai.." main uski dhar par gate ki janib barha. Dil main duain mangtay izzat ki hifazat ki dua, susral main is waqt sharminda honay se bachnay ki dua. Magar jab main agay barha to manzar he aur tha.
Safaid chadar main lipti hoi wo meri ammi theen. Naheen! Ye naheen ho sakta main ne qareeb jakar zameen par baith kar apni soi hoi maa ka haath hilaya.
"Ammi ! Ammi" main bas yehi keh saka. Dil main hazar dard liye meri maa abdi neend sogai jab ke embulance wala meray bhai ko bata raha tha.
"Sahab! Aj shaam bas se takra gaeen, do char logon ne mushkil se hospital pohanchaya magar jee dam nikal chuka tha. Ghanta do to traffic bhi band raha .. Ye apni main road wali shahra par he to hoa hai bas ..." wo agay na janay kia kuch keh raha tha aur main apni usi shahra par kahi hoi baat soch raha tha.
"ik to log daikh kar naheen martay"
------------------------------------------------------------------------
Meri roh waheen khari thi. Main ne apne beech walay betay ki cheekh bhi suni aur baray baitay ke chehray ki fikr bhi parhi phir uska girna bhi dekha aur un sab ka lipat kar rona bhi dekha mujhe bas ik baat samjh naheen ayi
Kia ehsaas jaganay ke liye marna bohat zaroori hai? Kia kuch logon ke milan ke liye ik maut zaroori hai? Kiun hum itni dair kar daitay hain ke kisi ki akhri khuwahish ussay uski akhri aghosh, akhri mukam par janay ke baad he naseeb hoti hai?

--------------------------------------------------------------------------
I am not a good writer this was definitely just a try.Do suggest and do comment I am waiting!