February 24, 2009

Rishta..

Haqiqat kia thi meray liye ab zarorri naheen tha. Main ik aise tilsm main thi jahan se laut kar ana meray bas main naheen tha. Na main ishq janti thi na he "sihq ke ain" se waqif thi main to bas wajood se agha thi. Main jitna usssay janti thi yun mehsoos hota tha jaise kisi dosray ko na pehchanti hon. Ik ajeeb si kashish si thi uske wajood main meray liye, Main khud bakhud uski taraf na chahtay hoay bhi khinchi khinchi jati thi. Is yaqeen ke saath jee rahi thi uske khuwabon main ke nasirf main ussay janti hon, chahti hon woi bhi mujhe janta hai, chahta ha. Mujhe mujh se behtar janta hai magar Ishq ke ain se wapsi ka safar mujhe tee'h karna he para kiun ke uski nazar-e-karam ab kisi aur taraf maa'il hochuki thi. Mera irada ussay roknay ka tha. Main chahti thi ke wo tehr jaye, ruk jaye sambhal jaye. Mujhe lagta tha ke wo meray hisar se kabhi nikalna naheen chahay ga, main sab theek karlongi chutki bajatay he magar ussay ghutan mehsoos hoti thi. Meri mohabbat ka hisar us par tang hogaya tha.. Taluq bas totnay ko tha k... Mujhe ye karna par ;



Wo aya tha mere pass,
mjhe bs ye btanay ko,
ke taluq totnay ko hai,
k uski manzil badal gai hai,
ab k zarorat kisi or ki hai,
so rastay hoay ab juda hamary,
humsafri apni khatam hoi hai,
na roka main ne na usko toka,
us liye par chala main us ja,
jahan se 'Main' 'Wo' HUM banay thay,
wo hairan sa samnay khara oa tha,
ke mor ke rukh,
dosri simt ko barh gaya main,
na phr ruka main na palat k dikha,
wo taluq k totnay ka btanay wala,
shayd mjhe ab bi bula raha tha,
magar main ja chuka tha,
'Taluq k totnay ko bacha chuka tha'!

This not very fine from myside but please accept this

10 comments:

  1. hmmm....good one
    u express the feelings very well

    ReplyDelete
  2. beautiful!

    who said it isn't up to the mark!
    since, you know, I can perfectly relate to it. It stays in my Cell, despite its low memory, and I keep on cherishing it :)

    Thankyou insi, as i always say, For writing this one!

    I self dedicate it to me :P

    ReplyDelete
  3. insiiiiiiiiii....wow...another asbah in the making...good work insi...and its not you who decide whether its good or not....its us..the readers...and we pass the verdict...its excellent ;-)

    ReplyDelete
  4. i second Sandeep here :) it was simply beautiful :)

    ReplyDelete
  5. i love ur hindi/urdu writes a lot .. though it takes me a lot of time to read and understand it .. but its always worth the efforts !! love dem a lot ...

    ReplyDelete
  6. Chiragh
    Thankyou!

    Ani
    Kia kahon how deep the pain is...

    ReplyDelete
  7. .a.
    U r welcum asbah :| (sigh)
    its dedicate it to u!

    Sandeepp
    :) ok as u say boss!

    Pink Orchid
    Kajal :) cant xpress how thankful i am..

    Preety
    Ur comments they giv me energy they r always important to me really!

    ReplyDelete
  8. sandeep!! Kya comments hain :D

    *me so proud*

    ReplyDelete

Comments are sexy.