Member Of The Month for June 2009 has been announced. It is Arun Kumar... Click here to congratulate him and also look at the nominees for MoM - July 2009.

Barish ke 4 Ghantay !  

December 19, 2008


12:00 a.m
"uff ! kia karon ye to acha start he nahin ban raha ...God! kaise shuru karon?" mushkil kuch bhi nahin tha sirf BARISH par 400 lafz ki kahani likhna thi magar kia likhon? Or jo naheen likhon to ye baat chubhti rahegi par jo likha or kisi ko pasand na aya to? Koi parhay ya na parhay "ASBAH" or "STEPHEN" to parh he lain ge magar..
3:00 p.m
"Shit! yahan to barish shuru hogayi acha khasa likhna shuru kardia tha ab kahan chupon?.. saray kaghaz gila hogaya.. " Biragharak hogaya 25 last tareekh hai ... mujhe jeetna hai! ... ye jaga theek rahegi yaheen bathti hon! (ye park ka sab se dhaka chupa kona hai yahan barish bilkul tang naheen karti) ye barish ne bhi abhi hona tha mujhe likhna hai yar story ... ik to ye mitti meray poray kapray kharab kardegi (par main kon sa khushi se is mitti main bethi hon) Kash! yahan bistar hota or main sojati kitna acha lagta.. main darht se taik lagaye akhain monday apni wahid areshani "400 words On Rain" ko sooch rahi thi ke ankh lag gai main abhi khuwabon main pohnchi he thi ke kisi dabi dabi se awaz ne mujhe pani taraf bulana shuru kardiya barish ki is tup tup main ye na janay kon tha...
Main dikhna chahti thi ke ye kon badbakht hai jo mujhe khuwabon se haqiqat ka safar teh karwa raha hai magar.. ankhain ke papotay bhari ho rahay thay.
"Ay barish ko behjnay walay is bhari bharkum ko mujh par se utha takkay main apne bachay is ke kapron par lagnay ki waja se kho na don" koi neechay se bol raha tha
"Mitti ye insaan hai behis or kathoor issay kia kahbar mohabbat ki judai ki ye to dulat ke nashaymain choor rehnay wali makhloq hai .." main ne dekha to maray hairat ke ankhain phati reh gain bhala kabhi mitti bhi bolti hai
"Naheen bol to sirf tum skatay ho jo Uski rehmaton se nala'n ho ..."
" mmm " main kuch bolna chahti thi mgr bolti kia?
"Tujhe likhna hai to RAB ke liye likh ke wo MALIK hai. RAB ko likh, uske bandon ke masail likh bas uske liye likh! likh sakegi uske liye? wo dega" main wahan se bhag khari hoi..
4:00 p.m
Barish kisi ko ronay ka moqa deti hai to kisi ko khushi magar mjhe barish ne in 4 ghanton main "mera or barish ka rishta" dia tha

words count:400

-IllusiOn!

*I dont know wether people will like it or not but ol i can say it I am lukng forward for comments!*


13 comments: to “ Barish ke 4 Ghantay !

 
Blog Design: Made By Stephen