door tak kahin koi nazar nahi aata
andhera hi dheere dheere simattha rahta hai
roshani ka ek bhi katra nahi milta mujhe
saari duniya apne ghar main diwali manati hai roj
aur ek diya bhi meri chaukhat par nahi jalta
viraana sa khandhar hai yeh ghar
aisa duniya kheti hai
mujhse pucho kya hai yeh ghar
duniya kya jaan payegi yeh khabar
uski yadoon ki roshni se jagmagata hai yeh ghar
uski khusboo se mehkta hai yeh suna aagan
uske ehsaas ke vishvaas par khadi hai tutti deewarein
uski dastak ki umeed main khoya hai yeh budha darwaza
hazaro diye bhi na roshan kar sakege mere ghar ko
kyunki uske intezaar main jal rahi hai yeh chaukhat
diwali duniya kya banayegi apna gharon main
diwali to main bana rahi hu uski yaad main
bas kami hai to patakhon ke shor ki yahan
woh aa gaye to meri kilkariya is kami ko bhi pura kar degi..

P.s. I m going out for a week won't be there to wish you all.May the Divine Light of Diwali Spread into your Life Peace, Prosperity, Happiness and Good Health.Have safe and happy Diwali.
Happy Diwali to you dear Vidisha!
ReplyDeleteEnjoy!
happy diwali vidisha
ReplyDeletenice poem