September 2, 2009

..mera chand..


main sochti thi har waqt guzarne ki
uske saath jo asmaan par baitha
sitaron ke beech muskurata rahta hai
main chahti thi un sitaron ko jalane ki
jo gurur karte hai uske saath hone ka
phir kya tha ek din puch hi liya
"kya kuch pal guzar sakte ho mere saath"
woh shauk se chala aya mere paas
aur jab sitron ka gurur tordne ke liye
aasman ki ore dekha to hairan ho gayi
dekh kar us viran andhere ko
manno khamosh sa ho gaya ho sab
jin sitaron se jalti thi main
woh andheri wadiyon main ghum ho gaye
main bahut dhuki hui
yeh dekh kar woh bola
"kyon khush nahi pakar mujhe"
bheegi palkein utha kar main boli
"jab tum wahan par thee
hazaron sitare tumhari roshni main
timtimate the muskurate the
aur main samajti thi itraate hai
jalate hai mujhe,par aaj jana
apni khushi ke liye maine
hazaro ko ruswa kar diya
jaoo..tum wapas jaoo
main to zameen par rehkar bhi
tumhari hi roshini main rahungi
par agar tum yahan rahee
to yeh sitare gumrah ho jayenege"
yeh sun kar woh muskurate hue
un sitaron ke beech pahuch gaya
aur uskte jaate hi hazaro sitare
phir se sharmate hue apni ankhein
khole saare asmaan par chaa gaye
abb main bhi us chand par naaz karti hu
uske anchal main simte
har sitare par naaz karti hu
naaz karti hu us roshini par
jo har raat is asmaan ko roshan kar deti hai

words count:243

3 comments:

Comments are sexy.