March 16, 2009

swagat hai

this story i read in the the hindi newspaper dainik bhaskar and it came in the rasrang a newspaper of 4 pages comes every sunday with this news paper

every sunday a story published in this rasrang which always gives something good lesson
but this time the story is very interesting and i like it and so i want to share it with my WL friends.

purani baat hai delhi me subah subah morning walk par nikale netaji ko teji se aate huye truck ne kuchal diya.netaji ki aatma seedhe swarglok ja pahuchi .dwar par khade devdut ne unka swagat karte huye kaha-"swagat hai shrimaan ,swarglok me aapka swagat hai".


netaji ki aatma bahut prassan hui ki use swarglok mila hai.isi beech devdut ne bataya ke vo bhi unaki aamad se bahut khush hai,magar chakit bhi,kyonki swarg me aksar sansaar ke itane bade naamdhari logo aate nahi dekha.so anirnay ki sthiti me hai ki unko andar jaane de ya nahi.

netaji ne kaafi israar kiya ki use swarg me pravesh diya jaye.devdut ne vinamrata se kaha ki use sthayi aadesh prapat hai ki esi sthiti me aap jaise logo ko ek din nark aur ek din swarg me rakha jaye aur fir is baat ka faisla netaji khud kare ke unahe kaha rahna hai.


pahle netaji ko nark me le jaya gaya ,vaha pravesh karte hi netaji bahut khush huye ,paanch sitara hotel se bhi behtar suvidhaye ,hari bhari ghas se bhare maidan .haseen mausam aur sab iska aanand le rahe hai.

in logo me netaji ke dost bhi shamil the .netaji bade khush huye ye sab dekhkar.tabhi shaitan netaji ke samne aa gaya,netaji hairaan ho gaye ke shaitan itna majakiya ho sakta hai kya .aur in sab ke beech netaji ke 24 ghante kab beet gaye pata hi nahi chala.

fir netaji ko swarg le jaya gaya ,jate samay unahe laga ke swarg to isse aur bhi badhia hoga.
swarg ke andar pahuch kar dekha to vaha ekdum khamoshi faili hui hai,badlo me vicharati aatmaye kisi sangeet lahri me dubi hui haikhushi se sarabor hai.lekin isake alava vaha aur kuch nahi tha.

jaise tese unhne 24 ghante bitaye.netaji ne soch liya ke nark me hi rahenge aur devdut unahe nark le gaya.lekin ye kya ,yaha to chaaro aur ujad hai.buri tarah baas marte huye kachare ke dher hai and is akran saans lena bhi mushkil ho raha hai.netaji ne dkeha unake saare dost maili kuchele kapade pahne hai,us kachanre ki tokriyo me bhar-bhar kar kachara ek kaale jhole me daal rahe hai.jitna kachara vo dalte usse kai guna kachara upar se aur gir jata.

unhone pucha ke maine to kal kuch aur dekha tha aur aaj kuch aur hai.shaitaan jo ab apane sali roop me aa chuka tha ,jor se hasaa aur bola" kal to hum apane paksh me prachar abhiyaan kar rahe the". aaj to hum chunav jeet chuke hain.

5 comments:

  1. tried reading it twice per couldnt :S loads of hindi words na, infact some uncommon words render it impossible :(

    ReplyDelete
  2. @ asbah
    tell me which words you are not able to understand

    ReplyDelete
  3. hehehe..barhiya hai..election ke is mahaul mein accha humour hai :)...
    yeh rajniti.. yeh tedha hai par mera hai..

    -_O

    ReplyDelete
  4. Nice one... subtle but hard hitting!

    @asbah
    Would you like a translation?

    ReplyDelete
  5. lol i agree with hashan..
    tedha hai pur mera hai..

    ReplyDelete

Comments are sexy.