February 5, 2009

Adhoora safar...The Journey Continues !!!

Hi am a new member of this blog. I really feel pride in posting my first Poetry.


jeet ka jajba, dil ki tamanna
unchi udaane, wo adhura sapna,
wo dil ke armaan poori karne ki chahat
wo anjaani rahon se gujarne ki ghabrahat
un sab ko main peeche chhod aaya tha
Jab main apna adhoora safar taya kar aaya tha

jab shuru kiya tha ye safar main
manzil ka koi chhor nahi tha
mere raaste mein koi mod nahi tha
mere alavaa mera koi aur nahi tha
par aaj main un toote rishto ko fir se jod paya tha
Jab main apna adhoora safar taya kar aaya tha

Un unchaiyon ko maine jeevan ka Lakshya banaya tha
kahi pahado se maine rasta banaya tha
Kabhi aansuo se main der tak nahaya tha
kahi lahron se main har pal takraya tha
par un dharaon ko main doosri disha main mod aaya tha
Jab main apna adhoora safar taya kar aaya tha

Toot gaye sab rishte mere, meri parchhayee bhi mujhe chhod gayi
Kante ke path pe chalne se, zindagi ek paheli ho gayi
main chal na saka sahi raste par, Jab hawayein bhi toofani ho gayi
Par ek umeed ki lau jalaye, meri aankhon me ek chamak rah gayi
main jeetoonga, main udoonga, meri chetna ne mujhe bataya tha
Jab main apna adhoora safar taya kar aaya tha

Aaaj meri manjilein mera intejaar karti hai
aaj meri hasratein muhjse pyaar karti hai
Meri chahte mera deedar karti hai
Par meri nigahe mujhi pe vaar karti hai
Apni nigaho mein maine ek uncha kad paya tha
Jab main apna adhoora safar taya kar aaya tha

Sochta hoo aaj, jab sab kuch main paa chuka hoo
ab kya mera jeevan hai, aur kya main bikhra chuka hoo
Jab bhi socha maine ki chalne ka hi to naam zindagi hai
Tabhi main apna doosra lakshya apna chuka hoo
maine apna aks nigaho ke aaine ko fir se dikhlaya tha
Jab main apna ek aur adhoora safar taya kar aaya tha

4 comments:

  1. wonderful poetry vaibhav..welcome to the lounge.. :)

    ReplyDelete
  2. Aaaj meri manjilein mera intejaar karti hai
    aaj meri hasratein muhjse pyaar karti hai
    Meri chahte mera deedar karti hai
    Par meri nigahe mujhi pe vaar karti hai
    Apni nigaho mein maine ek uncha kad paya tha
    Jab main apna adhoora safar taya kar aaya tha


    good lines .. its really imprtant to be worthy in your own eyes first and forever ... welcome here :)

    ReplyDelete
  3. unchi udaane, wo adhura sapna

    Un unchaiyon ko maine jeevan ka Lakshya banaya tha
    kahi pahado se maine rasta banaya tha
    Kabhi aansuo se main der tak nahaya tha
    kahi lahron se main har pal takraya tha

    Relished reading it!!
    It was a pleasure reading you.
    Keep pouring in more.

    ReplyDelete

Comments are sexy.