November 30, 2008

Meri Maa..!



Mera por por dukh raha tha, dard tha jo beinteha tha or ghum tha jo hadse sewa tha. Ghum jismani aziat ka hargiz nahin tha kiun ke ye to har dosray din ka khail tha ghum apne aj ke kiye ka bhi nahin tha, kiun ke agar jo aj kiya hai wo na karti to meray bachay (han main 3 bacho ki maa hon) wo kal apni masomiyat ko apne andar khaeen chupai Karachi jaise baray shehr ki bheer main kaheen gum hojatay ab kam se kam mujhe pata to hai ke wo kahan hain.. une mustaqbil ki pareeshani go ab bhi hai magar unke masoomiyat cheenay ka khoof nahin hai.. Main ne Rehan ko mana kardiya hai ke main unahin wapis nahin laon gi go usne or sari baradari ne mujhe dhutkara bhi or dhamkaya bhi magar main kaise man lon ke main unahin wapis laon gi to unke saath pehlay jaisa salook nahin hoga ye char dewarain bhi wohi hain Rehan ka rawaya bhi na ab tak zameen se koi khazana nikla na asmaan se hun ki barish hoi phir kaise sab waisa nahin rahega? Main jab se baradari walon ke pass se uth kar ayi hon chup hon meray saas susar bhi aye thay amma abba bhi unhon ne bhi wohi kaha jo adhi duniya keh rahi hai Rehan bahar he hai ussse meri chup se wehshat mehsoos honay lagi thi wo or us sameet saray log yehi chahtay thay ke main bachon ko wapis le aon. Abhi sirf 9:00 baje thay agar "Shafaq" ghar main hoti to yaheen sehn main meray kisi dupatay ko orhay apni sahelion ke saath khail rahi hoti usse abhi se he dupata pehnay ka bohat shoq hai or agar "Hasam" hota to wo meray pass is cvhatai pe leta mujh duniya jahan ki kahniyan sunata take uske bap ka diya ghum us pitai ki aziyat main uski baaaton main gum hokar bhool jaon. Duniya ki maa'ein apne bachon ko kahanian sunati hain or mera shehzada mujhe kahaniyan sunata hai or "Sarim" mera sab se samajdar beta sab se bara sab se acha wo hota to.. magar wo to EDHI CENTRE chalay gaye balke wo kiun jatay wo jana he nahin chah rahay thay main he.. Hasam to meray baghair neend he nahin ati thi Shafaq apne bap ke sulaye baghair nahin soti thi. Baramday main dono charpaiyan khali pari theen yeh meri charpai ke samnay wali ispe Rehan or Shafaq sotay thay halankay Rehan betiyon ka yun bap se lad karna zara pasand nahin karta tha magar wo bhi usiki beti thi zid karke larke soti thi. Or Rehan ki charpai ke painteen pe jo charpai thi uspe Sarim soota tha soochtay soochtay main ne takiye pe hath jo mara to ghari hath main ayi ye Sarim ki ghari thi jo main ne usse is saal di thi wo roz raat ko meray takiye ke neechay rakh deta tha takkay main saweray time par uth sakon.. Mera poora jism dukh raha tha or usse bhi ziada dukh mujh apne bachon se judai ka tha magar main en unka bura to nahin chaha tha koi Maa kaise apni olaad ka bua chah sakti hai. Tabhi darwaza khola or Rehan aya
"To ne bhari duniya main meri izzat ka janaza nikal dia aray naseebo jali kisne aha tha bachon ko wahan daal aa ab dekh puri duniya main TV main dekha rahain hain teri olaad ko" Wo atay he meray sar par khara ho kar cheekhnay laga
"TV par" meri to so'een waheen atak gayi
"Han tv par ... zamanay bhar ke loog tho tho kar rahain hain magar tujhe ise kia tu to unahin beech ayi" wo bolta ja raha tha ke meray zabt ki inteha hoi main ne uska girebaan ko pukra
" Mai ne beech dia aray beechnay tu to ja raha tha ye kiunn nahin kehta k teray seenay pe sanp laut rahain hain ke wo wahan kiun chaklegaye to jahan lejana chahta tha wahan kiun nahin gaye beghairat be-emaan tu to hai" main bedam se hokar gir pari

Poori raat kaise katti main nahin janti magar subha main apni mamta or apne dukh ke saathiyon apni himmat ke sahrroon ko na pakar unse milnay chali gayi wahan gayi to pata chala ke meray jigar ke tukray bhi mujh se door reh kar puri raat ah o zari karte rahain hain main ALLAH ka naam lekar ghar le ayi rastay bhar wo tv walay peechay paray rahay go ke mein ne chehra chupaya hoa tha main bus behtti to peechay behtay babay ne akhbar ki surkhi parhi jismain kisi siyastdan ne ye kaha k "Bachon ko edhi centre main jama karana darasal hukumat ke khilaaf propoganda hai ik sazish hai" main poochna chahti hon in sab siyasatdano se ke kaise koi maa pane bachon ko baghair kisi majboori ke apne se dor karsakti hai?Kya koi maa iti kamzarf bhi hosakti hai k olaad ko mulk ki hukmarno ke darmiyan tasadum main istemal honay de.. Kia yehi wo PAKISTAN hai jiska khuwab IQBAL ne dekha tha, jiske liye lakhon ne apni janain deen?

(I dont know how well or how bad its written i know there is always a room for improvment but i dedicate this piece to all the mothers especially mine)

2 comments:

Comments are sexy.