Teri Bewafai ka
(address)
Awarah ghumta raha galiyo me teri
kuch na raha pata teri bewafai ka
Bas chahat thhi k mile tujh se
hosh bhi na raha teri bewafai ka
Socha k qudrat bhi haseen sapne dikhati he
woh Lamha bhi yaad na raha teri bewafai ka
Awarah ghumta raha galiyo me teri
kuch na raha pata teri bewafai ka
Gam bhi saath dhoop bhi aur niddhal me
kin cheezo se karu shukr ada teri bewafai ka
Ek tamanna liye khada thha tere dar par
diid ho ishq ki Lamha mit jaae teri bewafai ka
Awarah ghumta raha galiyo me teri
kuch na raha pata teri bewafai ka
Sharm bhi aati Ankhe bhi roti he
qissa jab karo bayan teri bewafai ka
Ae khuda is jurm ki saza na de usse
meri jaan ki qeemat laga de usse
kya hua gar woh wafa na karsaki
shukr ho qissa jo ho baya teri bewafai ka
Awarah ghumta raha galiyo me teri
kuch na raha pata teri bewafai ka
Dhadkne hui tez na milpaaoga hua jab ehsas
Laga dil rone aankhe bhi aayi iske paas
Kaha aankhone me hu tere saath
kya hua rakh na saki woh tere hatho pe hath
Dil betha rehgaya aankho ne bhi diya sath
us pe sitam yeh, pata jab chala teri bewafai ka
Awarah ghumta raha galiyo me teri
kuch na raha pata teri bewafai ka
Ab naa aaoga kabhi galiyo me teri,
ab manana he dil ko galtiyo se teri
Ab naa rehna yaado me teri,
lut hi gaya thha baato me teri
Ae-Khuda bacha is sitam se
na de saza usse is jurm se
Yeh dua he meri ke too rahe shaad
bewafai se kar apni duniya aabad
Me na karuga ab bayan qissa yeh bewafai ka
Na karuga Maatam tujh se judai ka
Awarah ghumta raha galiyo me teri
kuch na raha pata teri bewafai ka
Urdu Dictionery:
Shaad - Happiness,
Deed ho ishq ki - To see my love
Nidhal - Tired a lot
Bahut Achche likte hO yaar! Kya baath hai. Kavitha is tharaa behtee hai, jaise behta hua paani. Wah, Jeete Raho.
ReplyDelete