July 26, 2009

kurukshetra(कुरुक्षेत्र)

जब महाभारत का युद्घ होने वाला था उस समय पर श्री कृष्ण और अर्जुन युद्घ के लिए भूमि देखने के लिए निकलपड़े ,घूमते घूमते वो कुरुक्षेत्र पहुँच गए । वहां उन्होंने देखा एक किसान और साथ में उसका बेटा दोनों खेती कर रहेथे ,तभी अचानक एक साँप ने उस किसान के बेटे को डस लिया ,उस किसान ने अपने बेटे की लाश को खेत से बाहरकर दिया और फ़िर से खेती करने लगाआगे भगवान ने देखा एक महिला खाना ले कर रही थी ,श्री कृष्ण नेउससे पुछा तुम कहा जा रही हो ,उसने कहाँ अपने पति और ससुर के लिए खाना ले कर जा रही हूँ ,श्री कृष्ण बोलेतुम्हारे पति को तो साँप ने डस लिया हैं और तुम्हारे ससुर ने उसकी लाश को खेत से बाहर कर दिया हैं और फ़िर खेती करने लगा हैं ,ये सुनते ही वो महिला वही बैठ गई और खाना खाने लग गई अपने पति के हिस्से का खाना खाकर वो ससुर का खाना ले कर आगे बढ़ गईश्री कृष्ण ने अर्जुन से बोला के यही जगह सही हैं युद्घ के लिए यहाँ किसी को किसी से कोई मतलब नही हैं सब अपने बारे में सोचते हैं।

अगर आज भगवान श्री कृष्ण को युद्घ के लिए भूमि देखने जाना पड़े तो आसानी से मिल जायेगी क्योंकि हर जगह सब अपने बारे में ही सोचते हैं

(now for the members who don't understand hindi well)

jab mahabharat ka yudh hone vala tha us samay par shri krishn aur arjun yudh ke liye bhumidekhane ke liye nikal pade ,ghumte ghumte vo kurukshetra pahunch gayevahan unhone dekhaek kisaan aur saath maen uska beta dono kheti kar rahe the ,tabhi achanak ek saap ne us kisaanke bete ko das lia ,us kisaan ne apane bete ki laash ko khet se baahar kar dia aur fir se kheti karne laga.

aage bhagwan ne dekha ek mahila khana le kar aa rhai thi ,shri krishna ne ussepucha tum kaha ja rhai ho ,usane kahan apane pati aur sasur ke liye khana le kar ja rahi hun ,shrikrishn bole tumhare pati ko to saap ne das lia hain aur tumhare sasur ne usaki lash ko khet sebaahar kar dia hain aur fir kheti karne laga hain ,ye sunate hi vo mahila vahi baith gayi aurkhana khane lag gayi apane pati ke hisse ka khana kha kar vo sasur ka khana le kar aage badhgayi। shri krishna ne arjun se bola ke yahi jagah sahi hain yudh ke liye yaha kisi ko kisi se koimatlab nhi hain sab apane baare main sochte hai.

agar aaj bhagwan shri krishn ko yudh ke liye bhumi dekhane jana pade to aasani se mil jayegi kyonki aajkal har jagah sab apaen baare maen hi sochte hain

3 comments:

  1. Wonderful thought Chirag...
    ... Sach me, aaj har jageh aisi halat hai ke akbhi bhi kahin bhi kuch bhi ho saqta hai, aur kisiko kisiki phikar nahi rahi...

    Yehi samay hai, jab Bhagwan ko dobara prithvi par ana padega, unki KALKI avatar me, aur hum sabki uddhar hetu...

    Jay Shree Krishna...

    ReplyDelete
  2. Superb!

    Your last lines have said it all...

    Aaj koi kisike liye ya kisike wajah se nahi jeeta! Sab apne liye hai...

    ReplyDelete
  3. Very true and bitter truth u told in the last line... I agree with you. It was awesome.
    utsavr04@gmail.com

    ReplyDelete

Comments are sexy.