July 17, 2009

Ek Jaam.....Tere Naam




Kaliyan khilti hain, Roshni barasti hai
Zindagi dabe kadam halke se panapti hai

Kuch log, ek mulaqat
Guftagu aur kuch baat
Rishte bante hain
Dosti hoti hai
Ek yaksan maqsad
Lo ho gayi shuruaat

Lafzon mein pirooye hue khwaab sajte hain
Un khwaabon ke tabeer ke armaan baste hain

Silsila badhta hai
Karwaan banta hai
Is tarah se yeh ghar sajta hai

Lafzon ka nasha hai
Jazbaaton ki mehkashi
Qehqahon ka shor
Aur kisson ki dor
Ashqon ki nami bhi hai
Dabi si hansi bhi

Khaas hote hue bhi hai yeh aam
Dil mein jagah karta hai iska naam
Patakhon ki goonj, ghubbaron ki udaan
Lafzon ki lari, janamdin ka jaam



I wish The Writer's Lounge many many happy reruns of this day:)
Wrote this as a humble reminder to some of Kajal's fine Hindi/Urdu poetry posts @ this very space...I know everyone misses her here, more so today
God Bless the Lounge n it's Loungers!!!




8 comments:

Comments are sexy.