March 2, 2009

KASAK...


Bahut kuch jo hum zindagi se maangte hain....humein mil nahi paata...or usko paane ki chahat humaare jeene ki wajah ban jaati hai....lekin zindagi in sab se badi hai... sirf paana hi zindagi nahi hai... uss chahat ko jeene ki wajah banakar jeena.... sab kuch haar kar bhi jeet ka ehsaas hona... aage kya hoga ye hum sab ko pata hota hai... bas hum us sach ko apna nahi paate.... uss aarzoo me zindagi jeene ka mazaa hi or hai.... us kasak me khushi ka ehsaas hi or hai....

KASAK....

Meri nigaahein unki raahon me..
unke kadamo ko talaashti hain...
malum hai mai unki ho nahi sakti..
or wo mere nahi hain....

sehraaon ki un hawaaon me...
unki hasi ko mere kaan dhoondte hain...
nirasha k siwa or kuch nahi milta...
or safalta meri nahi hai...

raat din mere khyaalon me...
unki baatein yaad aati hain...
mai unhe bhool jaaun, aisa ho nahi sakta...
or mujhe wo yaad karte nahi hain...

jane kaun si dor hai...
jo hum dono ko baandhe hai...
mai unhe chhod dun aisa ho nahi sakta...
or mujhe wo jaane dete nahi hai...

kuch na ho kar bhi sab kuch hai...
kyun unhe paane ki ummeed tooti nahi hai...
malum hai mai unki ho nahi sakti...
or wo mere nahi hai....

6 comments:

  1. This is as could as it could have..!!
    I loved it..
    The words kept reverberating in my ears last night..Your voice lent them a magic..They look equally amazing here as well.

    A promising work!!

    ReplyDelete
  2. Oh,,I meant as good* as it could have been..

    ReplyDelete
  3. awwwww.. tht was soo touchhyyy..

    kuch na ho kar bhi sab kuch hai...
    kyun unhe paane ki ummeed tooti nahi hai...
    malum hai mai unki ho nahi sakti...
    or wo mere nahi hai....

    that was lovelyy.. :)

    ReplyDelete
  4. finally i read it.. u see my understanding in hindi doesnt match my reading,,, neway,,, this was a real good one.. worthy read :)

    ReplyDelete
  5. i read the first and last verse, didnt get the second one though

    ReplyDelete

Comments are sexy.