March 10, 2009

Ik Khayal!

KHAYAL!
Yahan sabhi ki batain hain,
Taswur ki, haqiqat ki,
Dhoop ki tamazat se,
Chahon ki narmi ki,
Umer bhar ki batain hain,
Phalsphon ki batain hain,
Uskay dais ki nagri hai,
Lafzon se jo khailay hai,
Hai wo taswur ki,
Ik pari jis ne k,
Daikh ke duniya sab,
Umer k chotay hisay main,Apni bhi ik bana dali,
Lafzon ki hai hukumat jahan,
Jazbon ki jahan sirf sazish hai,
Jahan dil bastay hain,
Us dais ki hai malika wo,
Mohabbat sab se karti hai,
Naam jiska 'illusiOn' hai,
Is 'Khayal' main likhti hai!



I wrote this for my blog but wanted to share with my family first! do comment please!

5 comments:

  1. behtareen introduction :)

    Bohat hi khobsorat hay !

    ReplyDelete
  2. awesome!

    such a cadencic flow of words. i am mesmerized by the thoughts you have pen down. and words are so perfectly chosen ..
    you write the beauty girl
    keep up !!
    *hugs*

    ReplyDelete
  3. shows the amount of love you feel for 'khayal' :)

    ReplyDelete

Comments are sexy.