Suni si ek raah
us par gharein se kuch nishaan
kisi ki sahami hui yaadon ke
sisakte hu kuch waadon ke
dard se karhaati hui roshni
dhuein main dhundlati se ek khushi
aankhon ko bhigoti hui kuch boondee
kaano se gujarti hui kuch awazee
kisi ke aane ki woh aahat
waqt ke ruk jaane ki woh chahat
woh dubta hua suraj
woh sharmate hue sitare
sukhe patoo se khelti hui woh hawa
khidki se jhakti hui woh raatein
chupkee se yaad aati hui woh baatein
Asmaan ko chune ki woh koshish
kisi ko paaney ki woh khuwaish
haathon main simti si ek lakir
aankhon main chippi si ek tasveer
woh khud hi rhuthna
woh khud hi manana
woh mutthi main band kuch sapne
woh bichadee hue kuch apne
gujarta hua har pal yuhi
bheka hua kuch-kuch kahin
khamosh si hai lahree sabhi
khoo gayi zindgi kahin
tham sa gaya sab kuch
par waqt hai pata nahi kuch
hu aaj bhi 'main' wahin-kahin
aur 'tum' shayad kahin nahi
ahem ahem...kiski khayalo mein khoye huye ho ji???
ReplyDeletehamein v toh batao
hehe...jab khayalo se bahar aaungi to baata dungi..
ReplyDelete